- dil se poochoge,To dard ka sailaab hu
- mhakata hua sa, sunahraha khawab hu main
- chhuoge muje jab,to jal jayoge yu
- goya dahakta hua sa, surkah angaar hu main
- par hu masoom sa, pyara sa suroor
- ek bar pee lo muje,chhaa jaunga wo khumar hu main
- na hi tujse koi gila kiya
- phr tu hai kyu khafa khafa se
- bas tujse har bar yahi sawal kiya.. .........
- maine bewafa ko bhi wafadar samjha
- use apne dil ka dildar samjaha.......
- use apni zindagi ka razdar samjaha
- hakikat mai nikla gunahgaar mera.....
- jise na thi kadra mere aasuo ki
- maine bhi use zindagi ka ek padav samjha......
- Pyaar jise hum Kehtey Hai
- ontho par ruki ek baat hai wo
- aankho se bya wo fasana hai
- dil mai chupa ek raj hai wo
- din mai khawab dikhata hai wo
- khushiyo ka sansaar hai wo
- sirf teri yaad dilata hai wo
- jeene ki rah dikhta hai wo
- dil ka aitbaar hai yahi pyaar hai...........
- main ne kbi tumhe logon main gina hi nhi tha
- par tumne samjha diya tum bhi is bheed ka hissa ho..........
- tere haq pe muje koi shak nhi
- ye zabza hai zid beshak nhi
- main chahu tuje mera koi bas nhi
- tu hai sirf mera is mai koi shak nhi............
- pyar mujhse jo kiya tumne tou kya paogi
- main kya paoungi ye ab main tumhe bataungi
- tumhe pakar kya khoungi ya tumhe khokar kya paoungi
- sochkar ye tum batana mujko mere liye pyar to sirf pyar hai
- man ka man se karar hai,pal pal ka intzaar hai,jeene ka aadhar hai
- mere aakhairi pal tak tere sath hone ka aitbaar hai bas mere liye yahi pyar hai...........
- Zindagi tere gum ne hume rishtey naye samjhaye
- hai majboor hum bhi jo inkar ko ikraar samajh in rishtayo ko nibhaye.......
aaj ankhon mai nami se hai
- tere pyar mai kuch kami se hai
- chaha tha tuje deewano ki tarah
- par tum bhi nikle begano ki tarah..........
- na jane kis gali mai zindagi ki shaam ho jaye
- meri sari zindagi yu hi tamam ho jaye
- shamil kar le muje apni zindagi mai kuch is tarah
- meri sari zindagi bas tere naam ho jaye..........
- tu khawab hi sahi zindagi hai meri
- khawabon ko sach karna hi manzil hai meri
- jab ye khabab badalne lagenge meri zindagi mai
- tab kahana meri neend tumhre pass hai mere khawab tumhre pass hai
- kash ki wo mera muqaddar hota
- phir sara jahan mera hota
- na dukh hota aur na hi dard hota
- charo taraf wo aur wo hota...........
- in hothon ko ab kisi hansi ka intezaar nahin hota
- kyukar tumhe ab apne aap par aitbaar nahin hota
- koi hai tumhre intezaar mai pal pal kar dino ko ginta hua
- kyu na diya jaye ek mauka phir se gulo ko gulzaar hone ka..........
- kagaz meri taqdeer ka sada bhi nhi hai
- teri kahani kuch itni jayada bhi nhi hai
- bhula na sake jise hum aisa mere koi
- khawab mai door door tak irade nhi hai ..........
yaddo ki titaliya phr se teri taraf jane ko hai
- smritiyo ke dhundle saye jeevant roop mai aane ko hai
- man ke kisi kone mai hai aas ki koi kiran baaki
- ki bula loge muje ek bar phr se jane na doge kabhi
- kahi na kahi yah vishwas abhi baaki hai.............
- khatam na hogi inteha mere pyar ki
- sab kuch bhula kar doob jayoge tum
- ek din zaroor mere pas aaoge tum
- aur paoge sirf apne aap ko tum............
- ek baar pyar se muskurao to jara
- haal e dil tum apna sunayo to jara
- apna lege tumhe hum pyaar se
- ek baar hum ko bulayo to jara.........
- tumhe sochkar mai pal pal pighalti
- lamhe lamhe ka main intzaar karti
- din ba din teri badthi kashish ko
- dheere dheere mai sweekar karti...........
- Kis rishte par aapko naaz hai
- Jo rishta na kal tha aur na aaz hi
- Rishta wo nhi ki aaye aur chale gye
- Rishta wo hai jo jeevan bhar ka saath de ..
- phr se naye safar pe kadam badhaya jaye
- phr se hasa , muskuraya , khilkhlya jaye
- phr se naye subah ko gale se lagaya jaye
- phr se zindagi ko zindagi ki tarah jiya jaye.....
- jee chuke pyari se zindgi
- mil chuke pyarye logo se
- dekh lee pyari se duniya
- chahiye ab sampooran mukti .......
- bhavo ki abhivyakti
- abhivyakti ka anubhav
- anubhav ki anubhuti
- anubhuti ka roop kavita..........
- parchaiyo ke peeche bhagte hue log
- apni hi parchaiyo se darte hue log
- bhidd mai apne liye jagah banate log
- atm prashansa se tust hote hue log...........
- sach ko dekha hai maine
- jhud ko dekha hai maine
- sach hai katu shabdo mai
- jhud hai avaran shahad ka
- mehsoos kar sako to karo
- meethe shabdon ka sahaj war
- jo hai is dunia ka aadharviheen aadhar......
- thak chuke hai khush karte karte
- bas ek tamanna hai is hairan dil mai
- koi to ho aisa khushi meri jiske liye bhi
- azeez ho,zindagi ho,bandagi ho,har khushi ho.....
- sawal dar sawal hai
- in sawalo ke jabab hai
- jo ki sirf tumhre pass hai
- mere pass hai intzaar aur intzaar.....
- tumne kaha tum sirf mere ho
- main zindagi bita dungi inke sahare
- agar kuch samay baad tum bhul bhi jao
- par ban jayenege zindagi meri tere kahe shabd.......
- kyu badalta hai samay
- kyu badalta hai insaan
- ab kis par bhorosa kare
- is badalte hue samay par
- in badalte hue insanno par
- ya sirf aur sirf apne aap par
- hum hai bhukt-bhogi sach ke
- samay ke sath badalte insaano ke.........
- kya hai shanti
- ek nishabd moan
- kya hai kolahal
- charo aor halchal
- kya chahata hai man
- sirf ek nishabd halchal
- mahsus kar ise main
- pana chahati hu mukti....
- charo taraf kuch shabd hai
- in shabdo ke kuch arth hai
- in artho mai sirf tum ho aur
- tum ho meri kitab zindagi ki........
- kuch kaha bhi nhi jata
- ab chup raha bhi nhi jata
- kash samajha pate unhe hum
- khomosh juba ki khomosh dastan
- kaise batye unhe ab haale dil tamam
- ki bina tere is jahan mai raha bhi nhi jata....
- mausam badalte rahe
- jindagi yu hi badhti rahi
- tum aaye to hi jana maine
- badlte hue mausamo ka arth
- kash ye sama ab yahi tham jaye
- sirf tum ho sirf main hu aur bahar ho....
- ye ishq ki fiza hai
- ye pyaar ki hawa hai
- kyu dhadkata hai dil dar dar ke
- ye aapki hi chahaton ka silsila hai.....
- agame sukad prasango ko
- atteet ki parchayo se mukt karo
- parivartan hi shashwat hai
- phr pukara hai tumhe zindagi ne
- mil jao apni payari zindagi se
- phr se jee lo zindagi,jee lo apni zindagi....
- fhulon ka khilana,khushbuo ka mahakana
- chand ka nikalana,chandni ka nikharana
- tere na hone par,teri yaado ka bikharana
- tere kahe shabdon ka,muj mai simatana.....
- aakhir jindagi hai kya
- rishto ka ek sunahara jaal
- jo nirbhar karte hai
- ek sapanele indradhanush par
- jin par bhorasa kar ke
- insaan dub jata hai gart mai
- kho jata hai andhero mai
- aur bita deta hai apni zindagi
- in adharviheen rishto par
- muje nafrat hai in rishto se.......
- jab baat chali hai haale dil ki
- isko baya main kaise karu
- palko pe ruki ek raat hai ye
- sabab hai ye khomoshi ka
- juba pe ruki ek baat hai ye
- nigahon se baya ek afsana hai
- ek nazuk sa ehassas hai ye
- lafzon ka sahara kya du main.......
- is rang badalti duniya mai
- logo ko badalte dekha hai
- shabado ke arth bemani hai
- rishto ko badalte dekha hai
- hum garo ki kya baat kare
- apano ko badalte dekha hai
- is rang badalti duniya mai.....
- ek sawal tha is man mai
- kya sapane bhi kabhi sach hote hai
- in sach hote sapano ka ehsaas leker
- lagata hai haan ye sapane bhi sach hote hai.....
- na shabd the na the vichar
- man tha kora kagaz sa
- aaye jab tum is jeeven mai
- abhivyakti mili vicharo ko
- aur hue samahit main tum mai
- hoker poorna is jeeven path par agrasar....
- kahayalo mai aksar aate ho tum
- kahawabo mai aksar aate ho tum
- yaado mai aksar aate ho tum
- kahayalo,kahawabo,yaado se nikal kab aaoge tum.........
- haste raho muskurate raho
- range gulal uadate raho
- khubhushuo ko bikharte raho
- bas yu hi zindadi bitate raho.....
- jab ikrare mohabbat hota hai
- sirf zuba khomosh hoti hai
- baato mai shararat hoti hai
- jab ikrare mohabbat hota hai............
- mohabbat bhi ajeeb hoti hai
- din mai khawab dikhati hai ye
- raato ko aksar jagati hai ye
- mohabbat bhi ajeeb hoti hai
- haste-haste rulati hai ye
- mohabbat bhi ajeeb hoti hai
- jismai sirf khayal hote hai
- khayalo mai sirf wo hote hai
- mohabbat bhi ajeeb hoti hai
- jeene ki chah badati hai ye
- chah ko hakikat banati hai ye
- mohabbat bhi ajeeb hoti hai........
- na dil mai chan hai na man mai karar hai
- tu hi bata de e dil tuje kiska intzaar hai
- unki na tasveer aati hai na khud aate hai
- phr bhi na jane kyu tuje un par aitbaar hai...
- chaha tha is zindagi se
- ek bar to jeene de muje
- manjur nhi tha zindagi ko
- sirf ek bar bhi jeena mera.....
- dam todte mere khawabo khyal
- ret ke manind fisalta waqt
- is sacchai se rubaru hoti main
- khadi hu tanha tanha is bheed mai............
- hai jo niyati teri aur meri...........
- khomosh rah kar bhi dekha , kah kar bhi dekha
- muskura kar bhi dekha, aasu baha kar bhi dekha
- par samjha na sake unhe , hum haale dil e bekarar
- har bar hume nada samajh, yu hi muskurate rahe wo.....
- baithe hai mahafil mai tanha tanha
- aas leke dil mai tere dedaar ki
- dhadakta hai dil tere aane ke khyal se
- uthathi hain nazare har aahat par
- dhal jaye na yu hi yah shaam kahi
- milne ki aarzu liye tere intzaar mai.....
- kabhi to subah hogi zindgi ki
- par lagta hai zindgi sirf raat hai
- ab kuch nhi raha is dil mai
- na jeene ki aas ,na paane ki chah
- na khone ka dar ,na mitne ka ehsaas
- jab wajud hi nhi to kya sanghrash
- koi mere hone ki wajah to batye
- ab puchta sirf yahi sawal ye dil hai.
- duriya duriyo ko badathi hai
- agar hai ye sach to batana tum mujko
- maine socha hai , samjha hai , jana hai tumko
- mere liye in duriyo ka arth bemani hai
- maine to man ki gahariyo mai basaya hai tumko
- ho sake to rikt rakhna mere liye man ka ek kona
- kabhi in duriyo ko duriya na banne dena .............