- aakhir jindagi hai kya
- rishto ka ek sunahara jaal
- jo nirbhar karte hai
- ek sapanele indradhanush par
- jin par bhorasa kar ke
- insaan dub jata hai gart mai
- kho jata hai andhero mai
- aur bita deta hai apni zindagi
- in adharviheen rishto par
- muje nafrat hai in rishto se.......
duriya duriyo ko badathi hai agar hai ye sach to batana tum mujko maine socha hai , samjha hai , jana hai ,tumko mere liye in duriyo ka arth bemani hai maine to man ki gahariyo mai basaya hai tumko ho sake to rikt rakhna mere liye man ka ek kona kabhi in duriyo ko duriya na banne dena .............
Thursday, September 15, 2011
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.